Wednesday, 30 July 2014

Gareeb Ka Beta

Shadi mai hazaron log aate hain itna khana waste kar dete hain
Or us bache ko latt marr k bhaga dete hain
jo jotthe bartno mai kuch dhundh raha tha..
Dhundh raha tha wo 1 tukda khane ka..
dund raha tha kuch paapi pait ko behlano ko..
Dhaake maarke nikal diya gya usko..
Nahi tha na wo kisi rishtedar ka beta..
tha wo 1 garib ka beta..
Saza thi uski garib ka beta hone ki..
School se nikal diya gaya ye kehke
fees nahi bhar sakta 1 garib ka beta..
Kehna tha ye us mandir ko chalane walon ka
jinhone ise 1 buisness bna liya..
Tha wo 1 garib ka beta
vasihatt mai milli hain usko ye zalliliyat toh
Nahi hua udass 1 shaan k liye bhi..
Tha use ek ajeeb sa drid vishvass
Vishvass tha use aapne hunar k upar..
Vishvass tha use aapne bhagwan k upar..
Nahi dara wo kisi se
Nahi gira wo us aandhi tufaan mai..
Nahi jhuka wo julmon k aage..
Kya hua aagar tha wo garib ka beta
Vishvass nahi tha uska gareeb..
Tha wo bhi bahut ameer..
Uske pass thi sabse badi cheez
"khusiyan"
aata tha use muskura k jeena..
chahe kuda kachra uthata tha
Phir bhi thi 1 muskurahat muh pe uske
Nahi thi uske pass Vidya
Santosh Tha phir bhi uske aandar
kaam karke gharwalon ka pait jo bhar raha tha..
ki khub mehnat usne bhi
Ab naha raha wo Gareeb Ka Beta..
Aapne bal pe shuru kiya buisness fool raha tha uska
Unhi gharon se aate the rishte
Jo laat maar kar bhagaya karte..
Usine Khareed liya wo school
Jahan se use nikala gaya..
Nahi chodi thi usne Umeed
Gareeb ka beta woh nahi hum hai
Jo slow net ki wajah se hi tadap uthte hain
Nahi hoti humare pass maafi kisiko dene k liye
itnti ego mai jo jeete hain..
Wo toh tha hi nahi kabhi gareeb Itna Khush Jo rehta tha
Phir bhi log use "Gareeb ka Beta pata nahi kyun kehte the"